Pages - Menu

Sunday, 22 January 2012

Aankh Pyaasi Hai Koi Manzar De by Rahat Indori

Aankh Pyaasi Hai Koi Manzar De
Is Jazire Ko Bhi Samandar De

Apna Chehra Talaash Karna Hai
Gar Nahin Aaina To Patthar De

Band Kaliyon Ko Chahiye Shabnam
In Chiraagon Main Roshni Bhar De

Pattharon Ke Saron Se Karz Utaar
Is Sadi Ko Koi Payambar De

Kahkahon Main Guzar Rahi Hai Hayat
Ab Kisi Din Udaas Bhi Kar De

Phir Na Kehna Ke Khud-Khushi Hai Gunaah
Aaj Fursat Hai Faisla Kar De

No comments:

Post a Comment