Aankhon mein jal raha hai kyon bujhta nahin dhuan
uthta to hai ghata sa barasta nahin dhuan
Chulhe nahin jalaye ke basti hi jal gayi
kuch roz ho gaye hain ab uthta nahin dhuan
Aankhon ke ponchne se laga aanch ka pata
yun chehra fer lene se chupta nahin dhuan
Aankhon ke aasuon se marasim purane hain
mehmaan yeh ghar mein aaye to chubhta nahin dhuan.....