tumhein udas sa paata hun main kai din se
na jane kaun se sadme utha rahi ho tum
wo shokhiyan, wo tabssum, wo kah-kahe na rahe
har ek chiz ko hasrat se dekhti ho tum
chhupa chhupa ke Khamoshi mein apani bechaini
Khud apne raaz ki taashir ban gyi ho tum
meri ummid agar mit gyi to mitne do
ummid kya hai bas ek pas-o-pesh hai kuchh bhi nahin
merii hayaat kii Ghumginion ka Ghum na karo
Ghum hayaat-e-Ghum ek naqsh hai kuchh bhi nahin
tum apne husn ki ranaaiyon par raham karo
wafaa fareb tul havas hai kuchh bhi nahin
mujhe tumhare tagaful se kyun shikaayat ho
meri fana meer ehsaas ka taqaaza hai
main janta hu ke duniya ka Khauf hai tum ko
mujhe Khabar hai ye duniya ajib duniya hai
yahan hayaat ke parde mein maut chalti hai
shikst saaz ki aawaaz mein ru nagma hai
mujhe tumhari judai ka koi ranj nahin
mere Khyal ki duniya mein mere paas ho tum
ye tum ne thik kaha hai tumhein mila na karu
magar mujhe bta do ki kyun udas ho tum
hafa na ho meri jurrat-e-takhtab par
tumhein Khabar hai meri zindagi ki aas ho tum
mera to kuchh bhi nahin hai main ro ke ji lunga
magar Khuda ke liye tum asir-e-ghum na raho
hua hi kya jo zamaane ne tum ko chhin liya
yahaan par kaun hua hai kisi ka socho to
mujhe kasam hai meri dukh bhari jawani ki
main khush hun meri mohabbat ke phul thukra do
main apni ruh ki har ek Khushi mita lunga
magar tumhari masarrat mita nahin sakta
main Khud ko maut ke hathon mein saunp sakta hun
magar ye bar-e-musaib utha nahin sakta
tumhare ghum ke siwa aur bhi to ghum hain mujhe
nijat jin se main ek lehza pa nahin sakta
ye unche unche makano ki deva diyon ke tale
har kaam pe bhukhe bhikariyon ki sada
har ek ghar mein aflaas aur bhukh ka shor
har ek simt ye insaniyat ki aah-o-buka
ye karkhano mein lohe ka shor-o-gul jis mein
hai dafn lakhoin Garibo ki ruuh ka nagma
ye sharahon pe rangeen sadion ki jhalak
ye jhopadiyo men Garibon ke be-kafan lashein
ye maal road pe karon ki rail pail kaa shor
ye patriyon pe Garibon ke zard_ru bachtche
gali gali mein bikte huye jawan chehre
haseen aankhon mein afsurdgi si chhai hui
ye jung aur ye mere vatan ke shokh javaan
kharidi jati hain uthati javaniyan jinki
ye baat baat pe kanuun aur zabte kii giraft
ye zisq ye Ghulami ye daur-e-majaburi
ye Ghum hain bahoot meri zindagi mitaane ko
udaas rah ke mere dil ko aur ranj na do...