Khatm-E-Shor-E-Tufaan Tha Door Thi Siyaahi Bhi
Dam Ke Dam Main Afsaana Thi Meri Tabaahi Bhi

Iltafaat Samjhun Ya Berukhi Kahu Is Ko
Rah Gai Khalish Ban Kar Uski Kamnigaahi Bhi

Yaad Kar Wo Din Jis Din Teri Sakhtgiri Par
Ashk Bhar Ke Uthi Thi Meri Begunaahi Bhi

Shama Bhi Ujala Bhi Main Hi Apni Mahfil Ka
Main Hi Apni Manzil Ka Rahbar Bhi Raahi Bhi

Gumbadon Se Palti Hai Apni Hi Sada “Majrooh”
Masjidon Main Ki Jaake Maine Daadakhvaahi Bhi