maut ek geet raat gaati thi 
zindagi jhuum-jhuum jaati thi

kabhi diivaane ro bhi padte the
kabhi terii bhii yaad aati thi

kis ke maatam mein chaand taaron se
raat bazm-e-azaa sajati thi

rote jaate the tere hijr nasib
raat furqat kii Dhalati jaati thi

kho_ii kho_ii sii rahati thi vo aankh
dil kaa har bhed paa bhi jaati thi

zikr tha rang-o-buu kaa au' dil mein
teri tasvir utarati jaati thi

husn me.n thii in aansuon ki chamak
zindagi jin mein muskurati thi

dard-e-hasti chamak uThaa jis mein
vo ham ahal-e-vafaa ki chhaati thi

tere un aansuon ki yaad aayi
zindagii jin mein muskuraati thi

thaa sukuut-e-fazaa tarannum-rez
buu-e-gesuu-e-yaar gaati thi

Gam-e-jaanaa.N ho yaa.N Gam-e-dauraan
lau si kuchh dil mein jhil-milaati thi

zindagi ko vafaa ki raahon mein
maut Khud raushani dikhaati thi

baat kyaa thi ki dekhate hi tujhe
ulfat-e-ziist bhul jaati thi

the na afalaak gosh bar aavaaz
beKhudi daastaan sunaati thi

karavatein le ufaq pe jaise subah
ko_ii doshizaa ras-masaati thi

zindagi zindagi ko vaqt-e-safar
kaaravaan-kaaravaan chhupaati thi

saamane tere jaise koi baat
yaad aa-aa ke bhuul jaati thi

vo teraa Gam ho yaa Gam-e-duniyaa
shamma-sii dil mein jhil-milaati thi

Gam ki vo daastaan-e-niim-shabi
aasmaanon ko nind aatii thi

maut bhi gosh bhar sadaa thi "Firaq"
zindagi koi giit gaati thi...
Do you Like this story..?

Get Free Email Updates Daily!

Follow us!