Dhup hai kyaa aur saayaa kyaa hai ab maaluum huaa
ye sab khel tamaashaa kyaa hai ab maaluum huaa
hanste phul ka chehara dekhun aur bhar aai aankh
apane saath ye qissaa kya hai ab malum hua
ham barason ke baad bhi un ko ab tak bhul na paaye
dil se un ka rishta kya hai ab maalum hua
sahara sahara pyase bhaTake saari umr jale
badal ka ik Tukda kya hai ab maalum hua..
No comments:
Post a Comment