Jis simt bhi dekhu nazar aata hai ke tum ho,
ae jaan-e-jahaa ye koi tum sa hai ke tum ho.

yeh khwab hai, khushboo hai, ke jhonka hai, ke pal hai,
yeh dhoond hai, badal hai, ke saaya hai, ke tum ho.

Is deed ki sahat main kaiye rang hain larzaan,
mein hu ke koi aur hai duniya hai ke tum ho.

dekho yeh kisi aur ki aankhein hain ke meri,
dekhu yeh kisi aur ka chehra hai ke tum ho.

yeh umr-e-gurezaan kahin thahre to yeh janu,
har sans main mujh ko yeh lagta hai ke tum ho.

har bazm main mauzo-e-sukhan dil zadgaan ka,
ab kaun hai shireen hai ke laila hai ke tum ho….