jeevan to ek chhoti si dor hai
pata nahi kab tute, moti bikhre..
fir kyu hum jaanbujh k wo dor kaatte hai
rishto main kabhi pyar se bandhne wale..
fir kyu pal mai rishte todte hai
wo do phool ek saath khile they..
vriksh bada hua,ek saath chhaya dene ka faisla kia
fir kyu fal bante hi,ek dusre se muh modte hai..
sab jaante hai zindagi milti hai ek baar
fir kyu shikve lekar baar baar marte hai..
jab tak jiyen pyar se jiyen, par na jaane kyu
kisi ke na rehne pe hi uski ahmiyat samajhte hai..
khoon k rishte to thhope gaye
pyar k rishte ko bhi hum kaha samajhte hai..
yu to jivan k kai pehlu hai
fir kyu uske chhote se arth ko nahi samajhte hai...........!!
Submitted by
Supriya Sood