Follow Us

Home » July 2012
gair kya janiye kyo mujhko bura kahte hai by Firaq Gorakhpuri


gair kya janiye kyo mujhko bura kahte hai.. 
ap kahte hai jo aisa to baja kahte hai..!! 
 
waqai tere iss andaj ko kya kahte hai.. 
na wafa kahte hai jiss ko na jafa kahte hai..!! 
 
ho jinhen shaq wo kare aur khudaon ki talash.. 
ham to insan ko duniya ka khuda kahte hai..!! 
 
teri suratt nazar ai teri surat se alaag.. 
hushn ko ahale-nazar husn numa kahte hai..!! 
 
shikawae hizr kare kiss diil se.. 
ham khud apne ko bhi apne se juda kahte hai..!! 
 
teri rudade sitam ka hai baya namumkiin.. 
fayda kya hai magr yu zara kahte hai..!! 
 
log jo kuch bhi kahe teri sitam koshi ko.. 
ham to in bato ko achchha na bura kahte hai..!! 
 
auro ka tajurba jo kuchh ho magr ham to "Firaq".. 
Talkhie zist ko jine ka maza kahte hai..!! 
 
 

Ai jazbe-nihan aur koi hai ke wahi hai by Firaq Gorakhpuri


Ai jazbe-nihan aur koi hai ke wahi hai.. 
Khilawat kdae-diil me awaz hui hai..!! 
 
kah de to ara sar tere daman me chhipa lu.. 
aur yu to mukkddar me mere bewtani hai..!! 
 
wo rang ho ya bu ho ke bade-sahari ho.. 
Ai bage-jhan jo bhi yaha hai safari hai..!! 
 
Ye barisheanvar ye ranginie guftar.. 
Gulbario gool sairio gul pairhani hai..!! 
 
Ai zindagi ishq me samjha nahi tujh ko.. 
jannat bhi jahnum bhi ye kya buljabi hai..!! 
 
Hai nutaq jisse chumne ke waste betab.. 
Sau bat ki ikk bat teri be sakhuni hai..!! 
 
mauje hai maie surkh ki ya khate dahn hai.. 
Lab hai ki koi shola barqe ambi hai..!! 
 
jage hai "Firaq" aj game hijra me ta subah.. 
Aahista se a jao abhi ankh lagi hai..!! 
 
 

kheton ka hrapan me kaha dekh rha hu by Bal Swaroop Rahi

kheton ka hrapan me kaha dekh rha hu...
mai rel ke inzan ka dhuaaan dekh rha hu..!

Fursat hai kaha ap ke bagat me thalu..
mai apne uzadne ka saman dekh raha hu..!!

khanzar jo gawahi hai mere qatal ki uss par..
Apni hi ungliyo ke nisan dekh rha hu..!!

Sab ap ki ankho se jaha dekh rahe hai..
mai aap ki ankho me jaha dekh raha hu..!!

wo soch me dube hai nisana ho khan par..
mai toote hue teer kman dekh rha hu..!!

malom hai taqarir likha laye hai kiss se..
mai unn ka jara tarze byan dekh rha hu..!!

Jo mai ne kharida tha kabhi bech ke khud ko..
neelam me bikta wo makan dekh rha hu..!!

Too dhundh rhi hogi kaha mujh ko kayamat..
mai kab se teri rah yaha dekh raha hu..!!

toka jo unhone ki kaho dekh li duniya..
mai bhi kaha hans ke ki haan dekh rha hu..!!

budhi hui umid to kya phiir bhi ladunga..
mai apne irade ko java dekh raha hu...!!

jees rah se jana hai nai pidhi ko 'Rahi'..
Uss rah me ikk andha kuan dekh raha hu...!!

baithe hai hotho ko si kar by devendra singh rathore

baithe hai hotho ko si kar..
pachhtayengi ap..

ishq jaag uthta hai aksar..
aisi khamosi ke baad..!!



             Submitted by
                     Devendra singh Rathore

mujhe na rokna tum by satya singh

mujhe na rokna tum na khud bhi ruk jana..
abhi to sath chalne ka maja hai sath uthana..

kissa jo chhoda adhoora use pura hai kar jana..
meri kismat pe rone se achha hai muskura jana...



                       Submitted By
                            satya singh

Beetey dino ki jab yaad dilatee hai ye zindagee by Prakash mani tiwari

Beetey dino ki jab yaad dilatee hai ye zindagee,
Muskurahat chehrey pe aur ankho me ansu de jatee hai zindagee...!!!

Ye ehsaas ki behtar duniya ki talaash me chor aaye vo aangan,
Jaha maa ki batey aur dosto k cycle ki awaz bhar se muskuratee thee zindagee...!!!

Ghar se nikalana, sadak pe chalana, dosto se ladana bhidana jhagadna,
Nahee tha pata ki pyaar kya hai par unakee ek baat bhar se hotho pe muskaan latee thee zindagee...!!!

Naye sapane, sapano me saree duniya liye chor aaye vo Sahar,
nahee pata kya hoga aagey , rulayegee ya meethee yaad chor jayegee ye zindagee...!!!

vo kahatey thy bahut aagey jana hai tumhe, sabka khayal rakhna hai tumhe,
Na janey kis mod tak chalega VO safar par unake bina har mod par unaka hee pata poochegee ye zindagee....!!!


             Submitted by
                     Prakash mani tiwari

Submit Your Poem