Follow Us

Home » Rahat Indori
kitni pi kaise kati rat mujhe hosh nahin by Rahat Indori


kitni pi kaise kati rat mujhe hosh nahin.. 
raat ke sath gaibat mujhe hosh nahin.. 
 
mujh ko ye bhi nahi malum ki jana hai kahan..
tham le koi mera hath mujhe hosh nahin.. 
 
ansuon aur sharabon me guzar hai ab to 
mai ne kab dekhi thi barsat mujhe hosh nahi.. 
 
jane kya tuta hai paimana ki dil hai mera.. 
bikhare bikhare hai khayalat mujhe hosh nahin..!!!

intezamat naye sire se sambhale jayen by Rahat Indori


intezamat naye sire se sambhale jayen..
jitne kam zarf hain mehfil se nikale jayen...
 
mera ghar aag ki lapaton me chhupa hai lekin..
jab maza hai tere angan me ujale jayen... 
 
gam salamat hai to pite hi rahenge lekin..
pahale maikhane ki halat sambhale jayen...
 
khali waqton me kahin baith ke rolen yaro..
fursaten hain to samandar hi khangale jayen..
 
khak me yun na mila zabt ki tauhin na kar..
ye wo anshun hain jo duniya ko baha le jayen..
 
ham bhi pyase hai ye ehasas to ho saqi ko..
khali shishe hi hawaon me uchhale jayen..
 
aao shaher me naye dost banaye "Rahat"...
astinon me chalo sanp hi pale jayen..!!!

Har ekk chehre ko zakhmo ka aina na kaho by Rahat Indori


Har ekk chehre ko zakhmo ka aina na kaho..
ye zindagi to hai rahmat ise saza na kaho...
 
na jane kaun si mazburiyon ka qaidi ho..
wo sath chhod gaya hai to bewafa na kaho...
 
tamam shaher ne nezon pe kyun uchhala mujhe..
ye ittefaq tha tum is ko hadasa na kaho...
 
ye aur bat kii dushman hua hai aaj magar..
wo mera dost tha kal tak use bura na kaho...
 
hamare aib hamen ungaliyon pe ginwao..
hamari pith ke pichhe hamen bura na kaho...
 
main waqiyat ki zanjir ka nahin qayal..
mujhe bhi apane gunahon ka silsila na kaho..
 
ye shahar wo hai jahan rakshas bhi hai "Rahat"..
har ek tarase huye but ko dewata na kaho...!!!!

Dosti jab kisi se ki jaye by Rahat Indori

Dosti jab kisi se ki jaye.. 
dushmano ki bhi raiy li jaye.. 
 
maut ka zahar hai fizaon me.. 
ab kahan ja ke sans li jaye… 
 
bas isi soch me hun duba hua.. 
ye nadi kaise paaar ki jaye… 
 
mere mazi ke zakhm bharne lage.. 
aaj fir koi bhul ki jaye.. 
 
botalen khol ke to pi barason.. 
aaj dil khol ke bhi pi jaye...!!! 
 

Ankh pyasi hai koi manzar de by Rahat Indori


Ankh pyasi hai koi manzar de..
iss jazire ko bhi samandar de...
 
apna chehara talash karna hai…
gar nhi aina to patthar de..
 
band kaliyon ko chahiyye shabanam.. 
in chiragon me roshani bhar de…
 
patharon ke saraon se karz utaar….
iss sadi ko koi payambar de…
 
kahkahon me guzar rahi hai hayat..
ab kisi din udas bhi kar de..
 
fir na kahna ke Khud Khushi hai gunah…
aj fursat hai faisalaa kar de…

Peshaniyon pe likhe muqaddar nahi mile by Rahat Indori


Peshaniyon pe likhe muqaddar nahi mile
Dastar kahan milenge jahan sar nahi mile
Awaragi ko dubate suraj se rabt hai
Magrib ke bad ham bhi to ghar par nahi mile
Kal ainon ka jashn hua tha tamam rat
Andhe tamashbinon ko patthar nahi mile

Main chahata tha khud se mulaqat ho magar
Aine mere qad ke barabar nahi mile

Pardes ja rahe ho to sab dekhate chalo
Mumkin hai wapas ao to ye ghar nahi mile..!!

Submit Your Poem