Follow Us

Home »
tu hindu banega na muslman banega by Sahir Ludhianvi

tu hindu banega na muslman banega
insaan ki aulaad hai insaan banega



qudrat ne to banai thi ek hi duniya
hamne use hindu aur muslman banaya


tuu sabke liye aman ka paigham banega
insaan ki aulaad hai, insaan banega


ye deen ye imaan dharam bechne vaale
dhan-daulat  ke bhukhe vatan bechne wale


tu inke liye maut ka ailaan banega
insaan ki aulaad hai insaan banega…


Tumhein udas sa paata hun main kai din se by Sahir Ludhianvi


tumhein udas sa paata hun main kai din se 
na jane kaun se sadme utha rahi ho tum 
wo shokhiyan, wo tabssum, wo kah-kahe na rahe 
har ek chiz ko hasrat se dekhti ho tum 
chhupa chhupa ke Khamoshi mein apani bechaini 
Khud apne raaz ki taashir ban gyi ho tum 
 
meri ummid agar mit gyi to mitne do 
ummid kya hai bas ek pas-o-pesh hai kuchh bhi nahin 
merii hayaat kii Ghumginion ka Ghum na karo 
Ghum hayaat-e-Ghum ek naqsh hai kuchh bhi nahin 
tum apne husn ki ranaaiyon par raham karo 
wafaa fareb tul havas hai kuchh bhi nahin 
 
mujhe tumhare tagaful se kyun shikaayat ho 
meri fana meer ehsaas ka taqaaza hai 
main janta hu ke duniya ka Khauf hai tum ko 
mujhe Khabar hai ye duniya ajib duniya hai 
yahan hayaat ke parde mein maut chalti hai 
shikst saaz ki aawaaz mein ru nagma hai 
 
mujhe tumhari judai ka koi ranj nahin 
mere Khyal ki duniya mein mere paas ho tum 
ye tum ne thik kaha hai tumhein mila na karu 
magar mujhe bta do ki kyun udas ho tum 
hafa na ho meri jurrat-e-takhtab par 
tumhein Khabar hai meri zindagi ki aas ho tum 
 
mera to kuchh bhi nahin hai main ro ke ji lunga 
magar Khuda ke liye tum asir-e-ghum na raho 
hua hi kya jo zamaane ne tum ko chhin liya 
yahaan par kaun hua hai kisi ka socho to 
mujhe kasam hai meri dukh bhari jawani ki 
main khush hun meri mohabbat ke phul thukra do 
 
main apni ruh ki har ek Khushi mita lunga 
magar tumhari masarrat mita nahin sakta 
main Khud ko maut ke hathon mein saunp sakta hun 
magar ye bar-e-musaib utha nahin sakta 
tumhare ghum ke siwa aur bhi to ghum hain mujhe 
nijat jin se main ek lehza pa nahin sakta 
 
ye unche unche makano ki deva diyon ke tale 
har kaam pe bhukhe bhikariyon ki sada 
har ek ghar mein aflaas aur bhukh ka shor 
har ek simt ye insaniyat ki aah-o-buka 
ye karkhano mein lohe ka shor-o-gul jis mein 
hai dafn lakhoin Garibo ki ruuh ka nagma 
 
ye sharahon pe rangeen sadion ki jhalak 
ye jhopadiyo men Garibon ke be-kafan lashein 
ye maal road pe karon ki rail pail kaa shor 
ye patriyon pe Garibon ke zard_ru bachtche 
gali gali mein bikte huye jawan chehre 
haseen aankhon mein afsurdgi si chhai hui 
 
ye jung aur ye mere vatan ke shokh javaan 
kharidi jati hain uthati javaniyan jinki 
ye baat baat pe kanuun aur zabte kii giraft 
ye zisq ye Ghulami ye daur-e-majaburi 
ye Ghum hain bahoot meri zindagi mitaane ko 
udaas rah ke mere dil ko aur ranj na do... 

Lab pe pabandi nahi ehsaas pe pahra to hai by Sahir Ludhianvi

Lab pe pabandi nahi ehsaas pe pahra to hai
phir bhi ahal-e-dil ko ahavaal-e-bashar kahna to hai
 
Apni Gairat bech Dalein apna masalaq chhod dein
rah_numaon mein bhi kuchh logon ko ye mansha to hai
 
Hai jinhein sab se zyada dava-e-hub-e-vatan
aaj un ki vajah se hub-e-vatan rusava to hai
 
Bujh rahe hain ek ek kar ke akidon ke diye
is andhere ka bhi lekin samna karna to hai
 
Jhuth kyu bolein farog-e-maslahat ke naam par
Zindagi pyari sahi lekin hamein marna to hai...

Dekha hai zindagi ko kuchh itna karib se by Sahir Ludhianvi


Dekha hai zindagi ko kuchh itna karib se
chehre tamaam lagne lage hain ajib se

is rengati hayaat ka kab tak uthaayein bhaar
bimar ab ulajhane lage hain tabib se


har ghum par hai majamaa-e-ushshaaq muntazir
maqtal ki raah milti hai ku-e-habib se


is tarah zindagi ne diya hai hamara sath
jaise koi nibaah rahaa ho raqiib se


ai ruh-e-asar jaag, kahan so rahi hai tu
aawaaz de rahe hain payambar salib se....

Hushn ko chand javani ko..... From Film Mann

Hushn ko chand javani ko kamal kahte hai
Dekh kar tujhko ham ek shaukh gazal kahte hai
Uff  ye sang-e-marmar sa tarasa hua saffaf badan
Dekhane wale tujhe Tazmahal kahte hai..



Tujhko dekhenge sitare to ziya mangenge
Pyase teri zulfo se ghata mangenge
Apne kandhe se dupatta na sarkne dena
Warna budhe bhi jawani ki dua  mangenge..



Aakash patal megar bela...


Aakash patal megar bela,
rimjhim rimjhim bristi phota.......
tomar sange veja ei mon valo lage sei din ta...
aj roilo bristir din ar tomar sange katono oi smiriti ta....
jani kub annodo sei din ta chillo, ar ajkeu ache sei din ta.... 

sudu tumi nei amr kache ar ache tomar prochur valo vasa...

Submitted by: Soma Gupta                                     

Kuch arman aise hai dil me..

kuch arman aise hai dil me jo jagte hai un sitaroi ki tarh..
jinki khawish to hoti hai jagmagane k liye...
lekin woh gum ho jati hai un kale badlo me...
dhund lega hame woh chand bhi hame yahi khwish rakte hai hum...
par pata ni kyu dar sa lagta hai hume in chhipe sitaro se kahi chhup na jaye hame bachate huye ye pal....

Submitted by: Soma Gupta                

Hamane duniya mein aake kya dekha… by Bahadur Shah Zafar

Hamane duniya mein aake kya dekha…
Dekha jo kuch so khwab-sa dekha…
Hai to insan khak ka putala…
Leke pani ka bul-bula dekha…
Khub dekha jahan ke khuban ko…
Ek tujh sa na dusara dekha…
Ek dam par hawa na band habab…
Dam ko dam bhar mein yaa hawa dekha…
Na huye teri khak-e-pa ham ne…
Khak mein ap ko mila dekha…
Ab na dije "zafar" kisi ko dil..
Ki jise dekha bewafa dekha…

Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hun, Na Kisi Ke Dil Ka Qarar Hun.. by Bahadur Shah Zafar


Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hun, Na Kisi Ke Dil Ka Qarar Hun.
Jo Kisi Ke Kaam Na Aa Sake Main Woh Ek Musht-e-Ghubaar Hun..

Na To Main Kisi Ka Habeeb Hun, Na To Main Kisi Ka Raqeeb Hun.
Jo Bigad Gaya Woh Naseeb Hun, Jo Ujad Gaya Woh Dayaar Hun..

Mera Rang Roop Bigad Gaya, Mera Yaar Muhjse Bichad Gaya.
Jo Chaman Khizaan Mein Ujad Gaya, Main Usi Ki Fasl-e-Bahaar Hun..

Pay- Faatiha Koyi Aaye Kyun, Koyi Chaar Phool Chadaye Kyun..
Koyi Aake Shama Jalaye Kyun, Main Woh Be-Kasi Ka Mazaar Hun..

Main Kahaan Rahoon Main Kahan Basoon, Na Yeh Mujhse Khush Na Woh Mujhse Khush..

Main Zameen Ki Peeth Ka Bojh Hun, Main Falak Ke Dil Ka Ghubaar Hun..
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hun, Na Kisi Ke Dil Ka Qarar Hun..
Jo Kisi Ke Kaam Na Aa Sake Main Woh Ek Musht-e-Ghubaar Hun..!!!!

Zindagi se har roj sikayat hoti hame...

Zindagi se har roj sikayat hoti hame..
Zindagi se har roj sikayat hoti hame..
jane q ye dard har roj milta hai mujhe...

kabhi marte is dard ko bat leta koi to
kavi is dard ko chot banata koi....
kya kahe apne is dard ko jo hame nahi...
hamari zindagi ki dua ban chuki hai..
Is zindgi har dard ab mere liye dua ban chuki hai...

Submitted by: Soma Gupta                                

Lagata nahin hai ji mera ujade dayaar mein by Bahadur Shah Zafar


lagata nahin hai ji mera ujade dayaar mein 
kis ki bani hai aalam-e-naa_paayedaar mein

kah do in hasaraton se kahin aur jaa basen
itani jagah kahan hai dil-e-daaG_daar mein

umr-e-daraaz maang kar laye the char din
do arazu mein kaT gaye do intazaar mein

kitana hai bad_nasib "Zafar" dafn ke liye
do gaz zamin bhi na mili kuu-e-yaar mein...

Dil ki meri beqarari mujh se kuch pucho nahin by Bahadur Shah Zafar


Dil ki meri beqarari mujh se kuch pucho nahin
shab ki meri ah-o-zari mujh se kuch pucho nahin

Bar-e-gam se mujh pe roz-e-hijr mein ik ik ghari
kya kahun hai kaisi bhari mujh se kuch pucho nahin

Meri surat hi se bas malum kar lo ham-damo
tum haqiqat meri sari mujh se kuch pucho nahin

Sham se ta-subah jo bistar pe tum bin rat ko
main ne ki akhtar-shumari mujh se kuch pucho nahin

Ai "Zafar" jo hal hai mera karunga gar bayan
hogi un ki sharm-sari mujh se kuch pucho nahin

Kya ummid kare ham un se jin ko vafaa maalum nahin by Zafar Gorakhpuri


Kya ummid kare ham un se jin ko vafaa maalum nahin 
Gam denaa maalum hai lekin Gam ki davaa malum nahin

Jin ki gali men umr ganvaa di jivan bhar hairaan rahe
paas bhi aake paas na aaye jaan ke bhi anjaan rahe
kaun si aaKhir ki thi hamane aisi Khataa maalum nahin

Ai mere paagal armaanon jhuThe bandhan tod bhi do
ai meri zakhmi ummidon dil ka daaman chhod bhi do
tum ko abhi is nagari men jeene ki saza maalum nahin.


Dhup hai kyaa aur saayaa kyaa hai ab maaluum huaa by Zafar Gorakhpuri


Dhup hai kyaa aur saayaa kyaa hai ab maaluum huaa 
ye sab khel tamaashaa kyaa hai ab maaluum huaa

hanste phul ka chehara dekhun aur bhar aai aankh
apane saath ye qissaa kya hai ab malum hua

ham barason ke baad bhi un ko ab tak bhul na paaye
dil se un ka rishta kya hai ab maalum hua

sahara sahara pyase bhaTake saari umr jale
badal ka ik Tukda kya hai ab maalum hua..

mere baad kidhar jaayegi tanhai by Zafar Gorakhpuri


mere baad kidhar jaayegi tanhai 
main jo mara to mar jaayegi tanhaai

main jab ro ro ke dariyaa ban jaaunga
us din paar utar jaayegi tanhaai

tanhaa_ii ko ghar se ruKhsat kar to do
socho kis ke ghar jaayegii tanhaai

virana hun abaadi se aayaa hun
dekhegi to Dar jaayegii tanhaai

yun aao ki paaon ki bhi aavaaz na ho
shor huaa to mar jaayegi tanhai...

mile kisi se nazar to samajho Gazal hui by Zafar Gorakhpuri

mile kisi se nazar to samajho Gazal hui 
rahe apani Khabar to samajho Gazal hui

milaa ke nazaron ko vo hayaa se phir
jhukaa le koi nazar to samajho Gazal hui

idhar machal kar unhen pukaare junun meraa
bhadak uThe dil udhar to samajho Gazal hui

udaas bistar kii silavaTe jab tumhen chubhen
na so sako raat bhar to samajho Gazal hui

vo badgumaan ho to sher sujhe na shaayari
vo maharbaan ho 'Zafar' to samajho Gazal hui...

kabhi ai haqiqat-e-muntazir nazar a libas-e-majaz mein by Allama Iqbal

kabhi ai haqiqat-e-muntazir nazar a libas-e-majaz mein
k hazaron sajde tarap rahe hain teri jabin-e-niyaz mein
tarab ashna-e-kharosh ho tu nawa hai mahram-e-gosh ho
wo surur kya k chaya hua ho sukut-e-parda-o-saz mein
tu bacha bacha k na rakh ise tera aina hai wo aina
k shikasta ho to aziz tar hai nigah-e-aina-saz mein
dam-e-tauf kar mak-e-shamma na ye kaha ke wo asr-e-kohan
na teri hikayat-e-soz mein na meri hadis-e-gudaz mein
na kahin jahan mein aman mili jo aman mili to kahan mili
mere jurm-e-khanakharab ko tere azo-e-banda-nawaz mein
na wo ishq mein rahin garmiyan na wo husn mein rahin shokhiyan
na wo gaznawi mein tarap rahi na wo kham hai zulf-e-ayaz mein
jo main sar-ba-sajda kabhi hua to zamin se ane lagi sada
tera dil to hai sanam-ashana tujhe kya milega namaz mein

tere ishq ki intaha chahta hun by Allama Iqbal

tere ishq ki intaha chahta hun
meri sadgi dekh kya chahta hun
sitam ho k ho wada-e-behijabi
koi bat sabr-azma chahta hun
ye jannat mubarak rahe zahidon ko
k main ap ka samna chahta hun
koi dam ka mehman hun ai ahl-e-mahfil
chirag-e-sahar hun, bujha chahta hun
bhari bazm mein raz ki bat kah di
bara be-adab hun, saza chahta hun

tu abhi rahguzar mein hai qaid-e-makam se guzar by Allama Iqbal

tu abhi rahguzar mein hai qaid-e-makam se guzar
misr-o-hijaz se guzar, paires-o-sham se guzar
jis ka amal hai be-garaz, us ki jaza kuch aur hai
hur-o-khayam se guzar, bada-o-jam se guzar
garche hai dilkusha bahot husn-e-firang ki bahar
tayarek buland bal dana-o-dam se guzar
koh shigaf teri zarab tujhse kushad sharq-o-garab
teze-hilahal ki tarah aish-o-nayam se guzar
tera imam be-huzur, teri namaz be-surur
aisi namaz se guzar, 
aise imam smumkin hai ke tu jisako samajhata hai baharan e guzar

Utho meri dunya k garibon ko jaga do by Allama Iqbal

Utho meri dunya k garibon ko jaga do
khak-e-umra k dar-o-diwar hila do
garmao gulamon ka lahu soz-e-yaqin se
kunjishk-e-phiromaya ko shahin se lara do
sultani-e-jamahur ka ata hai zamana
jo naqsh-e-kuhan tum ko nazar aye mita do
jis khet se dahqan ko mayassar nahin rozi
us khet k har khosha-e-gandum ko jala do
kyon khaliq-o-makhluq mein hayal rahen parde
piran-e-kalisa ko kalisa se hata do
main nakhush-o-bezar hun marmar k silon se
mere liye mitti ka haram aur bana do
tahazib-e-nawin kargah-e-shishagaran hai
adab-e-junun shayr-e-mashriq ko sikha do

Submit Your Poem