Follow Us

Home »
Bas ikk jhijhak hai yahi hal-e-diil sunane me by Kaifi Azmi


bas ikk jhijhak hai yahi hal-e-diil sunane me..
ki tera zikr bhi aayega is fasane me..

baras padi thi jo rukh se naqab uthane me..
wo chandani hai abhi tak mere garib khane me..

Iisi me ishq ki qismat badal bhi sakti thi..
jo waqt beet gaya mujh ko azmane me..

ye keh ke toot pda shakhe gul se akhari ful..
Ab aur der hai kitni bahar aane me...!!!!

Azaa me bahte the aansu yahan,lahoo to nahi by Kaifi Azmi


Azaa me bahte the aansu yahan,lahoo to nahi.. 
ye koi aur jagah hai ye lakhanow to nahi.. 
 
yahan to chalti hai chhuriya zubaan se pahle... 
ye mir anis ki,aatish ki guftagu to nahi.. 
 
Chamak rha hai jo daman pe dono firaqo ke.. 
bagaur dekho ye islam ka lahoo to nahin...!!! 

Ab tum agoshe tasabbur me bhi aaya na karo by Kaifi Azmi


Ab tum agoshe tasabbur me bhi aaya na karo.. 
mujh se bikhre huye gesu nahin dekhe jate.. 
surkh aankho ki qasam kanpati palako ki qasam.. 
thar thrate huye aansu nahin dekhe jate... 
 
ab tum agoshe tasabbur me bhi aaya na karo.. 
chhut jane do jo damane wafa chhuut gaya.. 
kyun ye lagazida kharami ye pasheman nazari.. 
tum ne toda nahi rishtae dil tut gya.. 
 
ab tum agoshe tasabbur me bhi aaya na karo.. 
meri aahon se ye rukhsar na kumla jaye.. 
dhundati hogi tumhe ras me nahai hui raat.. 
jao kaliyan na kahin sej ki murjha jaye.. 
 
Ab tum agoshe tasabbur me bhi aaya na karo... 
mein is ujade huye pahlu me bitha lun na kahin.. 
labe shirin ka namak aarize namakin ki mithas... 
apne tarse huye honthon me chura lun na kahin...!!! 

Rooh bechain hai ikk dil ki aziyat kya hai by Kaifi Azmi


Rooh bechain hai ikk dil ki aziyat kya hai..
dil hi shola hai to ye soz-e-mohabbat kya hai..
wo mujhe bhul gai iski shikayat kya hai..
ranj to ye hai ke ro ro ke bhulaya hoga...
 
wo kahan aur kahan kahif-e-gam sozishe jan..
us ki rangin nazar aur nuqushe hirman..
us ka ehsase latif aur shikaste arman...
tanazan ek zamana nazar aya hoga...
 
jhuk gai hogi jawan sal umango ki jabin..
miit gai hogi lalak dub gaya hoga yaqin...
chha gya hoga dhuan ghum gai hogi zamin...
apne phale hi ghronde ko jo dhaya hoga...
 
dil ne aise bhi kuch afsane sunaye honge..
ashk aankho ne piye aur na bahaye honge..
band kamre me jo khat mere jalaye honge...
ek ik harf jabin par ubhar aaya hoga..
 
us ne ghabrake nazar lakh bachai hogi..
mitake ik naqsh ne sau shaql dikhai hogi...
mez se jab meri tasvir hatai hogi..
har taraf mujh ko tadpta hua paya hoga..
 
bemahal chhed pe jazbat ubal aye honge..
gam pasheman tabassum me dhal aye honge..
naam par mere jab ansu nikal aaye honge..
sar na kandhe se sahali ke uthaya hoga..
 
zulf zeed kar ke kisi ne jo banai hogi...
Ruthe jalwo pe khizan aur bhi chhai hogi..
barq ashwon ne kai diin na girai hogi...
rang chehare pe kai roz na aaya hoga…
 
hoke majbur mujhe us ne bhulaya hoga...
zahar chup kar ke dawa jan ke khaya hoga..!!!

ikk yahi soz-e-nihan kul mera sarmaya hai by Kaifi Azmi


ikk yahi soz-e-nihan kul mera sarmaya hai..
dosto mai kise ye soz-e-nihan nazar karu...
koi qatil sare maqtal nazar aata hi nahi..
kis ko dil nazar karun aur kise jaan nazar karu..
 
tum bhi mahabub mere tum bhi ho dildar mere..
ashna mujh se magar tum bhi nahi tum bhi nahi..
khatam hai tum pe masiha nafasi charagari..
mehram-e-darde jigar tum bhi nahi tum bhi nahi...
 
apani lash aap uthana koi asan nahi..
dast o bazu mere nakara hue jate hai..
jiin se har daur me chamaki hai tumhari dahliz..
aaj sajde wahi awara hue jate hai...
 
dur manzil thi magar aisi bhi kuchh dur na thi..
leke phirti rahi raste hi me wahashat mujh ko..
ekk zakhm aisa na khaya ke bahar aa jati..
dar tak leke gya shauq-e-shahadat mujh ko...
 
Rah me toot gye panw to malum hua..
juz mere aur mera rahnuma koi nahi..
ek ke bad khuda ek chala aata tha..
kah diya aql ne tang aake 'khuda koi nahi'..!!!

gila hai shauq ko dil me bhi tangi-e ja ka by Mirza Ghalib


gila hai shauq ko dil me bhi tangi-e ja ka 
guhar me ma hua iztiraab dariya ka. 

yeh janta hu ke tu aur pasukh-e maktub. 
magar sitam zadah hu żauq-e khama-farsa ka. 

heena-e pa-e khizan hai bahar agar hai yehi 
dawam kulfat-e khat
̤ir hai desh duniya ka.

ġhum-e firaq me takleef-e sair-e gul na do 
mujhe dimaġ nahi khanda ha-e be-ja ka.

hanuz mahrami-e husn ko tarasata hu
kare hai har bun-e mukam chashm-e bina ka.

dil us ko pahle hi naaz-o-ada se de baiṭhe 
hamein dimaġ kahaa husn ke taqaẓa ka. 

na keh ke giryah ba miqdar-e hasrat-e dil hai 
meri nigah mein hai jama-o-kharch dariya ka. 

falak ko dekh ke karta hu us ko yaad asad 
jafaa mein us ki hai andaaz kar-farma ka…!

Hazaaron khwahishein aisi ke har khwahish pe dum nikle by Mirza Ghalib


Hazaaron  khwahishein  aisi ke har khwahish pe dum nikle
Bahut nikle mere armaan, lekin phir bhi kam nikle.

Daray kyon mera qaatil? kya rahega us ki gardan par?
woh khoon,jo chashme-tar se umr bhar yu dum-ba-dum nikle

Dare kyon mera qatil? kya rahega us ki gardan par?
woh khoon,jo chashme-tar se umr bhar yu dum-ba-dum nikle

Nikalna khuld se aadam ka sunte aaye hain lekin
Bahut be-aabru hokar tere kuche se hum nikle.

Bharam khul jaye zaalim! teri qaamat ki darazi ka
Agar is tirahe par pech-o-kham ka pech-o-kham nikle.

Magar likhwaye koi usko khat, to hum se likhwaye
Hui subah, aur ghar se kaan par rakh kar qalam nikle.

Hui is daur mein mansoob mujh se bada aashaami
Phir aaya woh zamaana, jo jahaan mein jaam-e-jaam nikle.

Hui jin se tawaqqa khastagi ki daad pane ki
woh hum se bhi zyada khasta e tegh e sitam nikle.

Mohabbat me nahi hai farq jeene aur marne ka
Usi ko dekh kar jeete hain, jis kaafir pe dum nikle. 

Zara kar jor seene par ki teer-e-pursitam nikle
Jo wo nikle to dil nikle, jo dil nikle to dum nikle.

Khuda ke waste parda na qaabe se utha zaaleem
Kahi aisa na ho yaan bhi wahi kaafir sanam nikle.

Kahaa maikhane ka darwaza Ghalib aur kahaa waaiz
Par itna jaante hain kal woh jata tha ke hum nikle.

Hazaaron khwahishein aisi ke har khwahish pe dum nikle
Bahut nikle mere armaan, lekin phir bhi kam nikle...

Submit Your Poem