Follow Us

Home » February 2012
आओ तुम्हें प्यार करना सिखा दूं -निषेध कुमार कटियार "'हलीम"


आओ तुम्हें  प्यार करना सिखा दूँ,
अपने लबों को लबों पे सजा दूँ.

करो ग़म न कोई न बैठो परेशां,
मानोगी तुम गर तुम्हे फिर हंसा दूँ.

छुपाती हो दिल की उल्फत मुझी से,
कर दो बयां कहो मैं सुना दूँ.

कभी आ के बैठो पहलू  में मेरे,
दौलत मोहब्बत की तुम पर लुटा दूँ.

 
     Submitted by-निषेध कुमार कटियार "'हलीम"

ab aur kya kisi se marasim burhaein hum by Ahmad Faraz

ab aur kya kisi se marasim burhaein hum
ye bhi bahot hai tujhe bhool jayein hum

sehra-e zindagi mein koi dusra na tha
sunte rahe hain aap hi apni sadayein hum

is zindagi mein itni fraghat kise naseeb
itna na yaad aa ke tujhe bhool jayein hum

tu itni dil zada to na thi ai shub-e firaq
aa tere raaste mein sitare lutayein hum

woh log ab kahan hain jo kehte the kal faraz
heh  khuda na karda tujhe bhi rulayein hum…

dard kya hota hai batayenge kisi roz by Ahmad Faraz


dard kya hota hai batayenge kisi roz
kamaal ki ghazal tum ko sunayenge  kisi roz

thi unki zid ke main jau unko manaane
mujh ko ye weham tha wo bulayenge kisi roz

kabhi bhi maine to socha bhi nahi tha
wo itna mere dil ko dukhayenge kisi roz

har roz sheshay se yehi puchta hoon main
kya rukh pe tabassum sajayenge kisi roz

udne do in parindon ko azaad fizaon mein
tumhare hon agar to lout aayenge kisi roz

apne sitam ka dekh lena khud hi Saaqi tum
zakhm-e-jigar tamaam log dekhenge kisi roz....

hui hai shaam to aankhon mein bas gaya phir tu by Ahmad Faraz


hui hai shaam to aankhon mein bas gaya phir tu
kahaan gayaa hai mere shahar ke musafir tu.

bahot udaas hai ek shakhs tere jane Se
jo ho sake to chala aa usi ki khatir tu.

meri misal ke ek kahl-e-khushk-e-sahara hu
tera khayal ke shaakh-e-chaman ka ta_ir tu.

main janta hu ke duniya tujhe badal degi
main manta hu ke aisa nahi bazahir tu.

hansi khushi se bichhad ja agar bichhadna hai
ye har maqaam pe kya sochta hai aakhir tu..?

‘Faraz’ tune use mushkilon mein daal diya
zamana Saahib-e-zar aur sirf shayar tu….

phir toot ke rone ki rut aayi hai by Ahmad Faraz


phir toot ke rone ki rut aayi hai
phir se dilon ke zakham nikhartay jaate hain

jhooti -sachi taabiron ki khwaahish hai
kaise kaise khwaab bikharte jate hain

kaise kaise yaaron ka behroop khula
kaise kaise khol utarte jaate hain

In haalon kab apne aap ko dekha tha ?
kehne ko din raat guzarte jaate Hain

raahgeeron ki khamoshi ko gour se sun,
yun hai jaise maatam karte jaate hain

kabhi kabhi koi aisa musafir aata hai
raste apne aap sanwarte jaate hain

sheher-e-ghazal ki galiyon mein dilgeer tere
tujh se teri baatein karte jaate hain….

Jis simt bhi dekhu nazar aata hai ke tum ho by Ahmad Faraz


Jis simt bhi dekhu nazar aata hai ke tum ho,
ae jaan-e-jahaa ye koi tum sa hai ke tum ho.

yeh khwab hai, khushboo hai, ke jhonka hai, ke pal hai,
yeh dhoond hai, badal hai, ke saaya hai, ke tum ho.

Is deed ki sahat main kaiye rang hain larzaan,
mein hu ke koi aur hai duniya hai ke tum ho.

dekho yeh kisi aur ki aankhein hain ke meri,
dekhu yeh kisi aur ka chehra hai ke tum ho.

yeh umr-e-gurezaan kahin thahre to yeh janu,
har sans main mujh ko yeh lagta hai ke tum ho.

har bazm main mauzo-e-sukhan dil zadgaan ka,
ab kaun hai shireen hai ke laila hai ke tum ho….

tum apna ranj o Ghum apni pareshani mujhe de do by Sahir Ludhianvi



tum apna ranj-o-Ghum apni pareshani mujhe de do
tumhe Ghum ki kasam is dil ki viraani mujhe de do


ye maana main kisi qabeel nahin hun in nigaahon mein
bura kya hai agar ye dukh ye hairaani mujhe de do

main dekhun to sahi duniya tumhein kaise sataati hai
koi din ke liye apni nigah’baani mujhe de do

vo dil jo maine maanga tha magar Ghairon ne paaya
badi kaif hai agar uski pashemaani mujhe de do…

tu hindu banega na muslman banega by Sahir Ludhianvi

tu hindu banega na muslman banega
insaan ki aulaad hai insaan banega



qudrat ne to banai thi ek hi duniya
hamne use hindu aur muslman banaya


tuu sabke liye aman ka paigham banega
insaan ki aulaad hai, insaan banega


ye deen ye imaan dharam bechne vaale
dhan-daulat  ke bhukhe vatan bechne wale


tu inke liye maut ka ailaan banega
insaan ki aulaad hai insaan banega…


Tumhein udas sa paata hun main kai din se by Sahir Ludhianvi


tumhein udas sa paata hun main kai din se 
na jane kaun se sadme utha rahi ho tum 
wo shokhiyan, wo tabssum, wo kah-kahe na rahe 
har ek chiz ko hasrat se dekhti ho tum 
chhupa chhupa ke Khamoshi mein apani bechaini 
Khud apne raaz ki taashir ban gyi ho tum 
 
meri ummid agar mit gyi to mitne do 
ummid kya hai bas ek pas-o-pesh hai kuchh bhi nahin 
merii hayaat kii Ghumginion ka Ghum na karo 
Ghum hayaat-e-Ghum ek naqsh hai kuchh bhi nahin 
tum apne husn ki ranaaiyon par raham karo 
wafaa fareb tul havas hai kuchh bhi nahin 
 
mujhe tumhare tagaful se kyun shikaayat ho 
meri fana meer ehsaas ka taqaaza hai 
main janta hu ke duniya ka Khauf hai tum ko 
mujhe Khabar hai ye duniya ajib duniya hai 
yahan hayaat ke parde mein maut chalti hai 
shikst saaz ki aawaaz mein ru nagma hai 
 
mujhe tumhari judai ka koi ranj nahin 
mere Khyal ki duniya mein mere paas ho tum 
ye tum ne thik kaha hai tumhein mila na karu 
magar mujhe bta do ki kyun udas ho tum 
hafa na ho meri jurrat-e-takhtab par 
tumhein Khabar hai meri zindagi ki aas ho tum 
 
mera to kuchh bhi nahin hai main ro ke ji lunga 
magar Khuda ke liye tum asir-e-ghum na raho 
hua hi kya jo zamaane ne tum ko chhin liya 
yahaan par kaun hua hai kisi ka socho to 
mujhe kasam hai meri dukh bhari jawani ki 
main khush hun meri mohabbat ke phul thukra do 
 
main apni ruh ki har ek Khushi mita lunga 
magar tumhari masarrat mita nahin sakta 
main Khud ko maut ke hathon mein saunp sakta hun 
magar ye bar-e-musaib utha nahin sakta 
tumhare ghum ke siwa aur bhi to ghum hain mujhe 
nijat jin se main ek lehza pa nahin sakta 
 
ye unche unche makano ki deva diyon ke tale 
har kaam pe bhukhe bhikariyon ki sada 
har ek ghar mein aflaas aur bhukh ka shor 
har ek simt ye insaniyat ki aah-o-buka 
ye karkhano mein lohe ka shor-o-gul jis mein 
hai dafn lakhoin Garibo ki ruuh ka nagma 
 
ye sharahon pe rangeen sadion ki jhalak 
ye jhopadiyo men Garibon ke be-kafan lashein 
ye maal road pe karon ki rail pail kaa shor 
ye patriyon pe Garibon ke zard_ru bachtche 
gali gali mein bikte huye jawan chehre 
haseen aankhon mein afsurdgi si chhai hui 
 
ye jung aur ye mere vatan ke shokh javaan 
kharidi jati hain uthati javaniyan jinki 
ye baat baat pe kanuun aur zabte kii giraft 
ye zisq ye Ghulami ye daur-e-majaburi 
ye Ghum hain bahoot meri zindagi mitaane ko 
udaas rah ke mere dil ko aur ranj na do... 

Lab pe pabandi nahi ehsaas pe pahra to hai by Sahir Ludhianvi

Lab pe pabandi nahi ehsaas pe pahra to hai
phir bhi ahal-e-dil ko ahavaal-e-bashar kahna to hai
 
Apni Gairat bech Dalein apna masalaq chhod dein
rah_numaon mein bhi kuchh logon ko ye mansha to hai
 
Hai jinhein sab se zyada dava-e-hub-e-vatan
aaj un ki vajah se hub-e-vatan rusava to hai
 
Bujh rahe hain ek ek kar ke akidon ke diye
is andhere ka bhi lekin samna karna to hai
 
Jhuth kyu bolein farog-e-maslahat ke naam par
Zindagi pyari sahi lekin hamein marna to hai...

Dekha hai zindagi ko kuchh itna karib se by Sahir Ludhianvi


Dekha hai zindagi ko kuchh itna karib se
chehre tamaam lagne lage hain ajib se

is rengati hayaat ka kab tak uthaayein bhaar
bimar ab ulajhane lage hain tabib se


har ghum par hai majamaa-e-ushshaaq muntazir
maqtal ki raah milti hai ku-e-habib se


is tarah zindagi ne diya hai hamara sath
jaise koi nibaah rahaa ho raqiib se


ai ruh-e-asar jaag, kahan so rahi hai tu
aawaaz de rahe hain payambar salib se....

Hushn ko chand javani ko..... From Film Mann

Hushn ko chand javani ko kamal kahte hai
Dekh kar tujhko ham ek shaukh gazal kahte hai
Uff  ye sang-e-marmar sa tarasa hua saffaf badan
Dekhane wale tujhe Tazmahal kahte hai..



Tujhko dekhenge sitare to ziya mangenge
Pyase teri zulfo se ghata mangenge
Apne kandhe se dupatta na sarkne dena
Warna budhe bhi jawani ki dua  mangenge..



Aakash patal megar bela...


Aakash patal megar bela,
rimjhim rimjhim bristi phota.......
tomar sange veja ei mon valo lage sei din ta...
aj roilo bristir din ar tomar sange katono oi smiriti ta....
jani kub annodo sei din ta chillo, ar ajkeu ache sei din ta.... 

sudu tumi nei amr kache ar ache tomar prochur valo vasa...

Submitted by: Soma Gupta                                     

Kuch arman aise hai dil me..

kuch arman aise hai dil me jo jagte hai un sitaroi ki tarh..
jinki khawish to hoti hai jagmagane k liye...
lekin woh gum ho jati hai un kale badlo me...
dhund lega hame woh chand bhi hame yahi khwish rakte hai hum...
par pata ni kyu dar sa lagta hai hume in chhipe sitaro se kahi chhup na jaye hame bachate huye ye pal....

Submitted by: Soma Gupta                

Hamane duniya mein aake kya dekha… by Bahadur Shah Zafar

Hamane duniya mein aake kya dekha…
Dekha jo kuch so khwab-sa dekha…
Hai to insan khak ka putala…
Leke pani ka bul-bula dekha…
Khub dekha jahan ke khuban ko…
Ek tujh sa na dusara dekha…
Ek dam par hawa na band habab…
Dam ko dam bhar mein yaa hawa dekha…
Na huye teri khak-e-pa ham ne…
Khak mein ap ko mila dekha…
Ab na dije "zafar" kisi ko dil..
Ki jise dekha bewafa dekha…

Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hun, Na Kisi Ke Dil Ka Qarar Hun.. by Bahadur Shah Zafar


Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hun, Na Kisi Ke Dil Ka Qarar Hun.
Jo Kisi Ke Kaam Na Aa Sake Main Woh Ek Musht-e-Ghubaar Hun..

Na To Main Kisi Ka Habeeb Hun, Na To Main Kisi Ka Raqeeb Hun.
Jo Bigad Gaya Woh Naseeb Hun, Jo Ujad Gaya Woh Dayaar Hun..

Mera Rang Roop Bigad Gaya, Mera Yaar Muhjse Bichad Gaya.
Jo Chaman Khizaan Mein Ujad Gaya, Main Usi Ki Fasl-e-Bahaar Hun..

Pay- Faatiha Koyi Aaye Kyun, Koyi Chaar Phool Chadaye Kyun..
Koyi Aake Shama Jalaye Kyun, Main Woh Be-Kasi Ka Mazaar Hun..

Main Kahaan Rahoon Main Kahan Basoon, Na Yeh Mujhse Khush Na Woh Mujhse Khush..

Main Zameen Ki Peeth Ka Bojh Hun, Main Falak Ke Dil Ka Ghubaar Hun..
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hun, Na Kisi Ke Dil Ka Qarar Hun..
Jo Kisi Ke Kaam Na Aa Sake Main Woh Ek Musht-e-Ghubaar Hun..!!!!

Zindagi se har roj sikayat hoti hame...

Zindagi se har roj sikayat hoti hame..
Zindagi se har roj sikayat hoti hame..
jane q ye dard har roj milta hai mujhe...

kabhi marte is dard ko bat leta koi to
kavi is dard ko chot banata koi....
kya kahe apne is dard ko jo hame nahi...
hamari zindagi ki dua ban chuki hai..
Is zindgi har dard ab mere liye dua ban chuki hai...

Submitted by: Soma Gupta                                

Submit Your Poem