Pages - Menu

Sunday, 25 March 2012

suun to sahi jahan me hai tera fasana kya by Khwaja Haidar Ali Aatish


suun to sahi jahan me hai tera fasana kya.. 
kahti hai tujh se khalqe-khuda gaibana kya.. 
 
zina saba ka dhundhati hai apni mushte-khak.. 
bame-baland yar ka hai astana kya.. 
 
aati hai kiis tarah se meri kabze-ruh ko.. 
dekhun to maut dhundh rahi hai bahana kya.. 
 
betab hai kamal hamara dile-azim.. 
mehman saraye-jism ka hoga ravna kya..!!! 

No comments:

Post a Comment