Pages - Menu

Sunday, 25 March 2012

tadpate hai na rote hai na ham fariyad karte hai by Khwaja Haidar Ali Aatish


tadpate hai na rote hai na ham fariyad karte hai.. 
sanam ki yad me hardam khuda ko yad karte hai.. 
 
unhi ke ishq me ham nala-o-fariyad karte hai.. 
ilahi dekhiye kis din hame wo yad karte hai.. 
 
shabe-furqat me kya kya sanp laharate hai sine par.. 
tumhari kakule-pechan ko jab ham yad karte hai...!!!! 

No comments:

Post a Comment