Follow Us

Home »
धुँधली हुईं दिशाएँ, छाने लगा कुहासा..by Ramdhari Singh Dinkar


धुँधली हुईं दिशाएँ, छाने लगा कुहासा.. 
कुचली हुई शिखा से आने लगा धुआँ-सा। 
कोई मुझे बता दे, क्या आज हो रहा है..
मुँह को छिपा तिमिर में क्यों तेज रो रहा है? 
दाता, पुकार मेरी, संदीप्ति को जिला दे, 
बुझती हुई शिखा को संजीवनी पिला दे। 
प्यारे स्वदेश के हित अंगार माँगता हूँ। 
चढ़ती जवानियों का श्रृंगार मांगता हूँ। 

बेचैन हैं हवाएँ, सब ओर बेकली है, 
कोई नहीं बताता, किश्ती किधर चली है? 
मँझधार है, भँवर है या पास है किनारा? 
यह नाश रहा या सौभाग्य का सितारा? 
आकाश पर अनल से लिख दे अदृष्ट मेरा, 
भगवान, इस तरी को भरमा दे अँधेरा। 
तम-बेधिनी किरण का संधान माँगता हूँ। 
ध्रुव की कठिन घड़ी में पहचान माँगता हूँ। 

आगे पहाड़ को पा धारा रुकी हुई है..
बल-पुँज केसरी की ग्रीवा झुकी हुई है.. 
अग्निस्फुलिंग रज का, बुझ ढेर हो रहा है..
है रो रही जवानी, अन्धेर हो रहा है। 
निर्वाक है हिमालय, गंगा डरी हुई है। 
निस्तब्धता निशा की दिन में भरी हुई है। 
पंचास्य-नाद भीषण, विकराल माँगता हूँ। 
जड़ता-विनाश को फिर भूचाल माँगता हूँ। 

मन की बँधी उमंगें असहाय जल रही हैं..
अरमान-आरज़ू की लाशें निकल रही हैं। 
भीगी-खुली पलों में रातें गुज़ारते हैं..
सोती वसुन्धरा जब तुझको पुकारते हैं। 
इनके लिये कहीं से निर्भीक तेज ला दे.. 
पिघले हुए अनल का इनको अमृत पिला दे। 
उन्माद, बेकली का उत्थान माँगता हूँ। 
विस्फोट माँगता हूँ, तूफान माँगता हूँ। 

आँसू-भरे दृगों में चिनगारियाँ सजा दे.. 
मेरे श्मशान में श्रृंगी जरा बजा दे..
फिर एक तीर सीनों के आर-पार कर दे.. 
हिमशीत प्राण में फिर अंगार स्वच्छ भर दे। 
आमर्ष को जगाने वाली शिखा नई दे..
अनुभूतियाँ हृदय में दाता, अनलमयी दे। 
विष का सदा लहू में संचार माँगता हूँ। 
बेचैन ज़िन्दगी का मैं प्यार माँगता हूँ। 

ठहरी हुई तरी को ठोकर लगा चला दे, 
जो राह हो हमारी उसपर दिया जला दे। 
गति में प्रभंजनों का आवेग फिर सबल दे। 
इस जाँच की घड़ी में निष्ठा कड़ी, अचल दे। 
हम दे चुके लहू हैं, तू देवता विभा दे..
अपने अनल-विशिख से आकाश जगमगा दे। 
प्यारे स्वदेश के हित वरदान माँगता हूँ.. 
तेरी दया विपद् में भगवान, माँगता हूँ।...

Kuchh chhote sapno ke badal, badi nind ka sauda karne by Kumar Vishwas


Kuchh chhote sapno ke badal,badi nind ka sauda karne,
Nikal pade hain paon abhage,Jaane kaun dagar thaharenge.


Wahi pyas ke angarh moti,wahi dhup ki surkh kahani,
Wahi aankh me ghutkar marti,wahi dhoop ki surkh kahani,

Har mohre ki muk viwashta,chaushar ke khane kya jane,
Haar jeet tay karti hai ve,aaj kaun se ghar thahrenge.

Nikal pade hain paon abhage jaane kaun dagar thahrenge.
Kuch palkon me band chandani,kuch hoton ke kaid tarane,

Manzil ke gumnaam bharose,sapno ke lachar bahane,
jinki zeedd ke aage suraj morpankh se chhaya mange,

Unke bhi durbhagya iraade,veena ke swar par thahrenge,
Nikal pade hain paon abhage jaane kaun dagar thahrenge...

Jab bhi muh dhak leta hoon, tere julfon ke chhaon mein by Kumar Vishwas


Jab bhi muh dhak leta hoon,tere julfon ke chhaon mein,
Kitne geet utar aate hain,Mere mann ke gaon mein..!

Ek geet palkon pe likhnaa,ek geet hoton pe likhnaa,
Yani saari geet hriday ki,Meethi choton par likhnaa,

Jaise chubh jata kaantaa nagne paon mein,
Aise geet utar aata hai,Mere Mann ke gaon mein..!

Palkein band hui to jaise,dharti ke unmaad so gayein,
Palkein agar uthi to jaise,bina bole samvaad ho gayein,

Jaise dhoop chunariya oodhe,aa baithi ho chhaon mein,
Aise geet utar aata hai,Mere mann ke gaon mein..!!

Maang mujhse hai khas duniya ki by Kumar Vishwas


Maang mujhse hai khas duniya ki,
Laft mere hain aas  duniya ki.
Katara katara hai shayari meri,
Dariya dariya hai pyas duniya ki…

Dil se jo faisla hona tha khaskar na hua by Kumar Vishwas


Dil se jo faisla hona tha khaskar na hua..
Sab se hota hai to phir mujhse hi kyon kar na hua..
Jitna is baar hua tujse mai milkar tanha..
Itna tahna to kabhi khud se bichad kar na hua..

आओ तुम्हें प्यार करना सिखा दूं -निषेध कुमार कटियार "'हलीम"


आओ तुम्हें  प्यार करना सिखा दूँ,
अपने लबों को लबों पे सजा दूँ.

करो ग़म न कोई न बैठो परेशां,
मानोगी तुम गर तुम्हे फिर हंसा दूँ.

छुपाती हो दिल की उल्फत मुझी से,
कर दो बयां कहो मैं सुना दूँ.

कभी आ के बैठो पहलू  में मेरे,
दौलत मोहब्बत की तुम पर लुटा दूँ.

 
     Submitted by-निषेध कुमार कटियार "'हलीम"

ab aur kya kisi se marasim burhaein hum by Ahmad Faraz

ab aur kya kisi se marasim burhaein hum
ye bhi bahot hai tujhe bhool jayein hum

sehra-e zindagi mein koi dusra na tha
sunte rahe hain aap hi apni sadayein hum

is zindagi mein itni fraghat kise naseeb
itna na yaad aa ke tujhe bhool jayein hum

tu itni dil zada to na thi ai shub-e firaq
aa tere raaste mein sitare lutayein hum

woh log ab kahan hain jo kehte the kal faraz
heh  khuda na karda tujhe bhi rulayein hum…

dard kya hota hai batayenge kisi roz by Ahmad Faraz


dard kya hota hai batayenge kisi roz
kamaal ki ghazal tum ko sunayenge  kisi roz

thi unki zid ke main jau unko manaane
mujh ko ye weham tha wo bulayenge kisi roz

kabhi bhi maine to socha bhi nahi tha
wo itna mere dil ko dukhayenge kisi roz

har roz sheshay se yehi puchta hoon main
kya rukh pe tabassum sajayenge kisi roz

udne do in parindon ko azaad fizaon mein
tumhare hon agar to lout aayenge kisi roz

apne sitam ka dekh lena khud hi Saaqi tum
zakhm-e-jigar tamaam log dekhenge kisi roz....

hui hai shaam to aankhon mein bas gaya phir tu by Ahmad Faraz


hui hai shaam to aankhon mein bas gaya phir tu
kahaan gayaa hai mere shahar ke musafir tu.

bahot udaas hai ek shakhs tere jane Se
jo ho sake to chala aa usi ki khatir tu.

meri misal ke ek kahl-e-khushk-e-sahara hu
tera khayal ke shaakh-e-chaman ka ta_ir tu.

main janta hu ke duniya tujhe badal degi
main manta hu ke aisa nahi bazahir tu.

hansi khushi se bichhad ja agar bichhadna hai
ye har maqaam pe kya sochta hai aakhir tu..?

‘Faraz’ tune use mushkilon mein daal diya
zamana Saahib-e-zar aur sirf shayar tu….

phir toot ke rone ki rut aayi hai by Ahmad Faraz


phir toot ke rone ki rut aayi hai
phir se dilon ke zakham nikhartay jaate hain

jhooti -sachi taabiron ki khwaahish hai
kaise kaise khwaab bikharte jate hain

kaise kaise yaaron ka behroop khula
kaise kaise khol utarte jaate hain

In haalon kab apne aap ko dekha tha ?
kehne ko din raat guzarte jaate Hain

raahgeeron ki khamoshi ko gour se sun,
yun hai jaise maatam karte jaate hain

kabhi kabhi koi aisa musafir aata hai
raste apne aap sanwarte jaate hain

sheher-e-ghazal ki galiyon mein dilgeer tere
tujh se teri baatein karte jaate hain….

Jis simt bhi dekhu nazar aata hai ke tum ho by Ahmad Faraz


Jis simt bhi dekhu nazar aata hai ke tum ho,
ae jaan-e-jahaa ye koi tum sa hai ke tum ho.

yeh khwab hai, khushboo hai, ke jhonka hai, ke pal hai,
yeh dhoond hai, badal hai, ke saaya hai, ke tum ho.

Is deed ki sahat main kaiye rang hain larzaan,
mein hu ke koi aur hai duniya hai ke tum ho.

dekho yeh kisi aur ki aankhein hain ke meri,
dekhu yeh kisi aur ka chehra hai ke tum ho.

yeh umr-e-gurezaan kahin thahre to yeh janu,
har sans main mujh ko yeh lagta hai ke tum ho.

har bazm main mauzo-e-sukhan dil zadgaan ka,
ab kaun hai shireen hai ke laila hai ke tum ho….

tum apna ranj o Ghum apni pareshani mujhe de do by Sahir Ludhianvi



tum apna ranj-o-Ghum apni pareshani mujhe de do
tumhe Ghum ki kasam is dil ki viraani mujhe de do


ye maana main kisi qabeel nahin hun in nigaahon mein
bura kya hai agar ye dukh ye hairaani mujhe de do

main dekhun to sahi duniya tumhein kaise sataati hai
koi din ke liye apni nigah’baani mujhe de do

vo dil jo maine maanga tha magar Ghairon ne paaya
badi kaif hai agar uski pashemaani mujhe de do…

Submit Your Poem